mujhe kya dekh kar tu tak raha hai
tere hathon kaleja pak raha hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
mausam-e-gul ka magar qafila jata hai ki aaj
sare ghunchon se jo aawaz-e-jaras aati hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
maston ka dil hai shisha aur sang-dil hai saqi
achraj hai jo na TuTe patthar se aabgina
Shaikh Zahuruddin Hatim
masjid mein sar paTakta hai to jis ke waste
so to yahan hai dekh idhar aa KHuda-shanas
Shaikh Zahuruddin Hatim
mashrab mein to durust KHarabaatiyon ke hai
mazhab mein zahidon ke nahin gar rawa shara
Shaikh Zahuruddin Hatim
majlis mein raat girya-e-mastan tha tujh baghair
saghar bhara sharab ka chashm-e-pur-ab tha
Shaikh Zahuruddin Hatim
main us ki chashm se aisa gira hun
mere rone pe hansta hai mera dil
Shaikh Zahuruddin Hatim
main pir ho gaya hun aur ab tak jawan hai dard
mere murid ho jo tumhein dostan hai dard
Shaikh Zahuruddin Hatim
main kufr o din se guzar kar hua hun la-mazhab
KHuda-parast se matlab na but-parast se kaam
Shaikh Zahuruddin Hatim

