nazar mein us ki jo chaDhta hai so jita nahin bachta
hamara sanwla us shahr ke goron mein kala hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
nazar mein band kare hai tu ek aalam ko
fusun hai sehr hai jadu hai kya hai aankhon mein
Shaikh Zahuruddin Hatim
nau-jawanon ko dekh kar 'hatim'
yaad ahd-e-shabab aawe hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
namak-e-husn ka sunta hun tere jun jun shor
tun tun milne ki mere dil mein hawas aati hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
namaziyon ne tujh abru ko dekh masjid mein
ba-samt-e-qibla sujud-o-qayam bhul gae
Shaikh Zahuruddin Hatim
mulk-e-adam se dahr ke matam-kade ke bich
aaya na kaun kaun ki rona na ro gaya
Shaikh Zahuruddin Hatim
na kuchh sitam se tere aah aah karta hun
main apne dil ki madad gah gah karta hun
Shaikh Zahuruddin Hatim
na main ne kuchh kaha tujh se na tu ne mujh se kuchh puchha
yunhi din raat milte mujh ko tujh ko meri jaan guzra
Shaikh Zahuruddin Hatim
mujhe tawiz likh do KHun-e-ahu se ki ai syano
taghaful ToTka hai aur jadu hai nazar us ki
Shaikh Zahuruddin Hatim