اردو हिंदी
Ek to teri daulat tha hi dil ye saudai | Shaahi Shayari
ek to teri daulat tha hi dil ye saudai

Ghazal

Ek to teri daulat tha hi dil ye saudai

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

ek to teri daulat tha hi dil ye saudai
tis upar qayamat hai be-kasi o tanhai

tere tain to lazim tha tauba ka sabab puchhe
mai-kashi se ai saqi go ki hum qasam khai

dil to ech-pechon se dam-e-KHat ke chhuTa tha
zulf phir nae sar se sar upar bala lai

ji to be-qarari se jaan-ba-lab hai ai naseh
ko tahammul o taqat sabr aur shakebai

umr-e-ashiq-o-mashuq sarf-e-naz-o-hairat hai
husn hai ada-pardaz ishq hai tamashai

raat us ki mahfil mein sar se jal ke panw tak
shama ki pighal charbi ustuKHan nikal aai

hasb-e-haal 'hatim' hai sher-e-'mirza-mazhar'
us se phir ziyaada kuchh hai ibarat-arai

dil hamesha mi-KHwahad tauf-e-ku-e-jaanan ra
hae be-par-o-baali wae na-tawani