اردو हिंदी
Ayaadat Shayari | Shaahi Shayari

Ayaadat

19 Shers

aaya na ek bar ayaadat ko tu masih
sau bar main fareb se bimar ho chuka

Ameer Minai




wo ayaadat ko to aaya tha magar jate hue
apni taswiren bhi kamre se uTha kar le gaya

Arsh Siddiqui




ayaadat ko meri aa kar wo ye takid karte hain
tujhe hum mar Dalenge nahin to jald achchha ho

Dagh Dehlvi




ayaadat ko meri aa kar wo ye takid karte hain
tujhe hum mar Dalenge nahin to jald achchha ho

Visiting my sick bed she, makes this threat to me
I will kill you if you don't get well speedily

Dagh Dehlvi




aaj us ne hans ke yun puchha mizaj
umr bhar ke ranj-o-gham yaad aa gae

Ehsan Danish




puchh lete wo bas mizaj mera
kitna aasan tha ilaj mera

Fahmi Badayuni




aate hain ayaadat ko to karte hain nasihat
ahbab se gham-KHwar hua bhi nahin jata

Fani Badayuni