اردو हिंदी
Abr mein yaad-e-yar aawe hai | Shaahi Shayari
abr mein yaad-e-yar aawe hai

Ghazal

Abr mein yaad-e-yar aawe hai

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

abr mein yaad-e-yar aawe hai
girya be-iKHtiyar aawe hai

bagh se gul-izar aawe hai
bu-e-gul par sawar aawe hai

ai KHizan bhag ja chaman se shitab
warna fauj-e-bahaar aawe hai

ai saba kis taraf ko guzri thi
tujh se bu-e-nigar aawe hai

mujh hawa-KHwah se gurez so kyun
tujh ko kya mujh se aar aawe hai

sun ke kahne lage kisi ke koi
kahe ko bar bar aawe hai

is qadar bas-ki roz milne se
KHatiron mein ghubar aawe hai

main to kya 'hatim' aise bad-KHu se
kis ko sohbat barar aawe hai