waqia ye hai ki rasta aur viran ho gaya
peD to apni taraf se phul barsate rahe
Shahzad Ahmad
viran to nahin shab-e-tarik ki faza
har-su hawa-e-baada se kuchh raushni to hai
Shahzad Ahmad
wo kaun hai use suraj kahun ki rang kahun
karunga zikr to KHushbu zaban se aaegi
Shahzad Ahmad
wo KHush-nasib the jinhen apni KHabar na thi
yan jab bhi aankh kholiye aKHbar dekhiye
Shahzad Ahmad
wo koi aur hai jis ne tujhe chaha hoga
shahr mein log bahut se meri surat ke bhi hain
Shahzad Ahmad
wo meri subhon ka tara wo meri raaton ka chand
mere dil ki raushni to tha magar mera na tha
Shahzad Ahmad
wo mujhe pyar se dekhe bhi to phir kya hoga
mujh mein itni bhi sakat kab hai ki dhoka khaun
Shahzad Ahmad
yar hote to mujhe munh pe bura kah dete
bazm mein mera gila sab ne kiya mere baad
Shahzad Ahmad
ye alag baat zaban sath na de paegi
dil ka jo haal hai kahna to paDega tujh se
Shahzad Ahmad