supurdagi ka wo lamha kabhi nahin guzra
hazar bar mare hum hazar bar jiye
Shahzad Ahmad
taKHta-e-dar pe chahe jise laTka dije
itne logon mein gunahgar koi to hoga
Shahzad Ahmad
Takraata hai sar phoDta hai sara zamana
diwar ko raste se haTata nahin phir bhi
Shahzad Ahmad
talash karni thi ek roz apni zat mujhe
ye bhut bhi mere sar par sawar hona tha
Shahzad Ahmad
tamam umr hawa phankte hue guzri
rahe zamin pe magar KHak ka maza na liya
Shahzad Ahmad
tanhai mein aa jati hain huren mere ghar mein
chamkate hain masjid ke dar-o-baam farishte
Shahzad Ahmad
tere sine mein bhi ek dagh hai tanhai ka
jaanta main to kabhi dur na hota tujh se
Shahzad Ahmad
teri qurbat mein guzare hue kuchh lamhe hain
dil ko tanhai ka ehsas dilane wale
Shahzad Ahmad
Thahar gai hai tabiat ise rawani de
zamin pyas se marne lagi hai pani de
Shahzad Ahmad