manzil hai kaThin dil bahut aaram-talab hai
kyun yaad mujhe aate ho ai bhulne walo
Shahzad Ahmad
manzil pe ja ke KHak uDane se faeda
jin ki talash thi mujhe raste mein mil gae
Shahzad Ahmad
matlub hai kya ab yahi kahte nahin banti
daman to baDe shauq se phailaya hua tha
Shahzad Ahmad
mayassar phir na hoga chilchilati dhup mein chalna
yahin ke ho rahoge sae mein ek pal agar baiThe
Shahzad Ahmad
meri ruswai mein wo bhi hain barabar ke sharik
mere qisse mere yaron ko sunata kya hai
Shahzad Ahmad
mujhe bas itni shikayat hai marne walon se
wo be-niyaz hain kyun yaad karne walon se
Shahzad Ahmad
musafir ho to sun lo rah mein sahra bhi aata hai
nikal aae ho ghar se kya tumhein chalna bhi aata hai
Shahzad Ahmad
na main ne dast-shanasi ka phir kiya dawa
na us ne hath mujhe chumne diya phir se
Shahzad Ahmad
na mile wo to talash us ki bhi rahti hai mujhe
hath aane pe jise chhoD diya jata hai
Shahzad Ahmad