shab Dhal gai aur shahr mein suraj nikal aaya
main apne charaghon ko bujhata nahin phir bhi
Shahzad Ahmad
shab ki tanhaiyon mein yaad us ki
jhilmilata hua diya jaise
Shahzad Ahmad
shahr ko chhoD ke viranon mein aabaad to ho
tujhe tanhai ki aawaz sunai degi
Shahzad Ahmad
shak apni hi zat pe hone lagta hai
apni baaten dusron se jab sunte hain
Shahzad Ahmad
shama jalte hi yahan hashr ka manzar hoga
phir koi pa na sakega KHabar-e-parwana
Shahzad Ahmad
shauq-e-safar be-sabab aur safar be-talab
us ki taraf chal diye jis ne pukara na tha
Shahzad Ahmad
shumar main na karunga firaq ke shab o roz
wahin se baat chalegi jahan se TuTi thi
Shahzad Ahmad
sine mein be-qarar hain murda mohabbaten
mumkin hai ye charag kabhi KHud hi jal paDe
Shahzad Ahmad
sitare is qadar dekhe ki aankhen bujh gain apni
mohabbat is qadar kar li mohabbat chhoD di hum ne
Shahzad Ahmad