ab jahan main hun wahan mere siwa kuchh bhi nahin
main isi sahra mein rahta tha magar tanha na tha
Shahzad Ahmad
aankh uTha ke meri samt ahl-e-nazar na dekh pae
aankh na ho to kis qadar sahl hai dekhna mujhe
Shahzad Ahmad
ab apne chehre par do patthar se sajae phirta hun
aansu le kar bech diya hai aankhon ki binai ko
Shahzad Ahmad
aazad tha mizaj to kyun ghar bana liya
ab umr bhar yahi dar-o-diwar dekhiye
Shahzad Ahmad
aata hai KHauf aankh jhapakte hue mujhe
koi falak ke KHeme ki rassi na kaT de
Shahzad Ahmad
aarzuon ne kai phul chune the lekin
zindagi KHar-badaman hai ise kya kahiye
Shahzad Ahmad
aarzu ki be-hisi ka gar yahi aalam raha
be-talab aaega din aur be-KHabar jaegi raat
Shahzad Ahmad
aaj tak us ki mohabbat ka nasha tari hai
phul baqi nahin KHushbu ka safar jari hai
Shahzad Ahmad
aage nikal gae wo mujhe dekhte hue
jaise main aadmi na hua naqsh-e-pa hua
Shahzad Ahmad