tirgi hi tirgi hadd-e-nazar tak tirgi
kash main KHud hi sulag uTThun andheri raat mein
Shahzad Ahmad
tera main kya karun ai dil tujhe kuchh bhi nahin aata
bichhaDna bhi use aata hai aur milna bhi aata hai
Shahzad Ahmad
teri talash to kya teri aas bhi na rahe
ajab nahin ki kisi din ye pyas bhi na rahe
Shahzad Ahmad
tujh mein kas-bal hai to duniya ko baha kar le ja
chae ki pyali mein tufan uThata kya hai
Shahzad Ahmad
tum hi kya jazb ho gae mujh mein
nam leta hun bar bar apna
Shahzad Ahmad
tum kahe jate ho aisi fasl-e-gul aai nahin
aur agar main ye kahun sau bar aisa ho chuka
Shahzad Ahmad
tumhaari aankh mein kaifiyyat-e-KHumar to hai
sharab ka na sahi nind ka asar hi sahi
Shahzad Ahmad
tumhaari aarzu mein main ne apni aarzu ki thi
KHud apni justuju ka aap hasil ho gaya hun main
Shahzad Ahmad
tumhaari bazm se bhi uTh chale hain diwane
jise wo DhunD rahe the wo shai yahan bhi nahin
Shahzad Ahmad