tu kuchh bhi ho kab tak tujhe hum yaad karenge
ta-hashr to ye dil bhi dhaDakta na rahega
Shahzad Ahmad
uDte hue aate hain abhi sang-e-tamanna
aur kar-gah-e-dil ki wahi shishagari hai
Shahzad Ahmad
udas chhoD gae kashtiyon ko sahil par
gila karen bhi to kya par utarne walon se
Shahzad Ahmad
umr bhar apne gireban se ulajhne wale
tu mujhe mere hi sae se Daraata kya hai
Shahzad Ahmad
umr bhar sunta rahun apni sada ki bazgasht
ya teri aawaz bhi aaegi mere kan mein
Shahzad Ahmad
umr jitni bhi kaTi us ke bharose pe kaTi
aur ab sochta hun us ka bharosa kya tha
Shahzad Ahmad
us ko KHabar hui to badal jaega wo rang
ehsas tak na us ko dila aur dekh le
Shahzad Ahmad
uTThi hain meri KHak se aafat sab ki sab
nazil hui na koi bala aasman se
Shahzad Ahmad
waqia kuchh bhi ho sach kahne mein ruswai hai
kyun na KHamosh rahun ahl-e-nazar kahlaun
Shahzad Ahmad