اردو हिंदी
Sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai | Shaahi Shayari
sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai

Ghazal

Sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai

Shahryar

;

sine mein jalan aankhon mein tufan sa kyun hai
is shahr mein har shaKHs pareshan sa kyun hai

dil hai to dhaDakne ka bahana koi DhunDe
patthar ki tarah be-his o be-jaan sa kyun hai

tanhai ki ye kaun si manzil hai rafiqo
ta-hadd-e-nazar ek bayaban sa kyun hai

hum ne to koi baat nikali nahin gham ki
wo zud-pasheman pasheman sa kyun hai

kya koi nai baat nazar aati hai hum mein
aaina hamein dekh ke hairan sa kyun hai