aat mili tanhai mili aur jam mila
ghar se nikle to kya kya aaram mila
Mohammad Alvi
aat paDe ghar jaana hai
subh talak mar jaana hai
Mohammad Alvi
akhte ho agar aankh to bahar se na dekho
dekho mujhe andar se bahut TuT chuka hun
Mohammad Alvi
oz achchhe nahin lagte aansu
KHas mauqon pe maza dete hain
Mohammad Alvi
oz kahta hai hawa ka jhonka
aa tujhe dur uDa le jaun
Mohammad Alvi
samne diwar par kuchh dagh the
ghaur se dekha to chehre ho gae
Mohammad Alvi
subh se khod raha hun ghar ko
KHwab dekha hai KHazane wala
Mohammad Alvi
sharife ke daraKHton mein chhupa ghar dekh leta hun
main aankhen band kar ke ghar ke andar dekh leta hun
Mohammad Alvi
shanti ki dukanen kholi hain
faKHtaen kahan ki bholi hain
Mohammad Alvi