par tol ke baiThi hai magar uDti nahin hai
taswir se chiDiya ko uDa dena chahiye
Mohammad Alvi
parinde dur fazaon mein kho gae 'alwi'
ujaD ujaD daraKHton pe aashiyane the
Mohammad Alvi
un ko gunah karte hue main ne ja liya
phir un ke sath main bhi gunahgar ho gaya
Mohammad Alvi
us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai KHush ho jahan bhi ho
Mohammad Alvi
us se bichhaDte waqt main roya tha KHub-sa
ye baat yaad aai to pahron hansa kiya
Mohammad Alvi
us se bhi mil kar hamein marne ki hasrat rahi
us ne bhi jaane diya wo bhi sitamgar na tha
Mohammad Alvi
tuDa-muDa hai magar KHuda hai
ise to sahib sambhaal rakhiye
Mohammad Alvi
tera na milna ajab gul khila gaya ab ke
tere hi jaisa koi dusra mila mujh ko
Mohammad Alvi
use main ne bhi kal dekha tha 'alwi'
nae kapDe pahan ke ja raha tha
Mohammad Alvi