ek laDka tha ek laDki thi
aage allah ki marzi thi
Mohammad Alvi
ek yaad rah gai hai magar wo bhi kam nahin
ek dard rah gaya hai so rakhna sambhaal ka
Mohammad Alvi
is bhari duniya se wo chal diya chupke se yun
jaise kisi ko bhi ab us ki zarurat na thi
Mohammad Alvi
kanTe ki tarah sukh ke rah jaoge 'alwi'
chhoDo ye ghazal-goi ye bimari buri hai
Mohammad Alvi
kabhi to aisa bhi ho rah bhul jaun main
nikal ke ghar se na phir apne ghar mein aaun main
Mohammad Alvi
kahan bhaTakte phiroge 'alwi'
saDak se puchho kidhar gai hai
Mohammad Alvi
kahin kho na jae qayamat ka din
ye achchha samay hai abhi bhej de
Mohammad Alvi
khiDkiyon se jhankti hai raushni
battiyan jalti hain ghar ghar raat mein
Mohammad Alvi
kisi se koi talluq raha na ho jaise
kuchh is tarah se guzarte hue zamane the
Mohammad Alvi