us se mile zamana hua lekin aaj bhi
dil se dua nikalti hai KHush ho jahan bhi ho
Mohammad Alvi
use main ne bhi kal dekha tha 'alwi'
nae kapDe pahan ke ja raha tha
Mohammad Alvi
utar phenkun badan se phaTi purani qamis
badan qamis se baDh kar kaTa-phaTa dekhun
Mohammad Alvi
wo jangalon mein daraKHton pe kudte phirna
bura bahut tha magar aaj se to behtar tha
Mohammad Alvi
yar aaj main ne bhi ek kamal karna hai
jism se nikalna hai ji bahaal karna hai
Mohammad Alvi
yakka ulaT ke rah gaya ghoDa bhaDak gaya
kali saDak pe chand sa chehra chamak gaya
Mohammad Alvi
ye kahan doston mein aa baiThe
hum to marne ko ghar se nikle the
Mohammad Alvi
zamin chhoDne ka anokha maza
kabutar ki unchi uDanon mein tha
Mohammad Alvi