khiDkiyon se jhankti hai raushni
battiyan jalti hain ghar ghar raat mein
Mohammad Alvi
kisi se koi talluq raha na ho jaise
kuchh is tarah se guzarte hue zamane the
Mohammad Alvi
kitna mushkil hai zindagi karna
aur na socho to kitna aasan hai
Mohammad Alvi
kuchh to is dil ko saza di jae
us ki taswir haTa di jae
Mohammad Alvi
log kahte hain ki mujh sa tha koi
wo jo bachchon ki tarah roya tha
Mohammad Alvi
main nahaq din kaT raha hun
kaun yahan sau sal jiya hai
Mohammad Alvi
main KHud ko marte hue dekh kar bahut KHush hun
ye Dar bhi hai ki meri aankh khul na jae kahin
Mohammad Alvi
mana ki tu zahin bhi hai KHub-ru bhi hai
tujh sa na main hua to bhala kya bura hua
Mohammad Alvi
aat kaun aaya tha
kar gaya sahar raushan
Mohammad Alvi