اردو हिंदी
Sher to sab kahte hain kya hai | Shaahi Shayari
sher to sab kahte hain kya hai

Ghazal

Sher to sab kahte hain kya hai

Mohammad Alvi

;

sher to sab kahte hain kya hai
chup rahne mein aur maza hai

kya paya diwan chhapa kar
lo raddi ke mol bika hai

darwaze par pahra dene
tanhai ka bhut khaDa hai

ghar mein kya aaya ki mujh ko
diwaron ne gher liya hai

main nahaq din kaT raha hun
kaun yahan sau sal jiya hai

aage pichhe koi nahin hai
koi nahin to phir ye kya hai

bahar dekh chukun to dekhun
andar kya hone wala hai

ek ghazal aur kah lo 'alwi'
phir barson tak chup rahna hai