اردو हिंदी
Kal raat suni chhat pe ajab saneha hua | Shaahi Shayari
kal raat suni chhat pe ajab saneha hua

Ghazal

Kal raat suni chhat pe ajab saneha hua

Mohammad Alvi

;

kal raat suni chhat pe ajab saneha hua
jaane do yar kaun batae ki kya hua

nazron se napta hai samundar ki wusaten
sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua

lambi saDak pe dur talak koi bhi na tha
palken jhapak raha tha daricha khula hua

mana ki tu zahin bhi hai KHub-ru bhi hai
tujh sa na main hua to bhala kya bura hua

din Dhal raha tha jab use dafna ke aae the
suraj bhi tha malul zamin par jhuka hua

kya zulm hai ki shahr mein rahne ko ghar nahin
jangal mein peD peD pe tha ghar bana hua

'alwi' ghazal ka KHabt abhi kam nahin hua
jaega ji ke sath ye hauka laga hua