ala-e-jaan thi jo bazm-e-tamasha chhoD di main ne
KHusha ai zindagi KHwabon ki duniya chhoD di main ne
Abu Mohammad Sahar
arq se khelne tufan pe hansne wale
aise Dube tere gham mein ki ubhar bhi na sake
Abu Mohammad Sahar
e-rabti-e-hayat ka manzar bhi dekh le
thoDa sa apni zat ke bahar bhi dekh le
Abu Mohammad Sahar
gham-e-habib nahin kuchh gham-e-jahan se alag
ye ahl-e-dard ne kya masale uThae hain
Abu Mohammad Sahar
hamein tanhaiyon mein yun to kya kya yaad aata hai
magar sach puchhiye to ek chehra yaad aata hai
Abu Mohammad Sahar
hindu se puchhiye na musalman se puchhiye
insaniyat ka gham kisi insan se puchhiye
Abu Mohammad Sahar
hosh-mandi se jahan baat na banti ho 'sahar'
kaam aise mein bahut be-KHabari aati hai
Abu Mohammad Sahar
ishq ke mazmun the jin mein wo risale kya hue
ai kitab-e-zindagi tere hawale kya hue
Abu Mohammad Sahar
ishq ko husn ke atwar se kya nisbat hai
wo hamein bhul gae hum to unhen yaad karen
Abu Mohammad Sahar