ishq ki sai-e-bad-anjam se Dar bhi na sake
hum teri chashm-e-inayat se utar bhi na sake
tu na milta magar allah re mahrumi-e-shauq
jine wale teri ummid mein mar bhi na sake
barq se khelne tufan pe hansne wale
aise Dube tere gham mein ki ubhar bhi na sake
husn KHud husn-e-mujassam se pashiman uTTha
aaina le ke wo baiThe to sanwar bhi na sake
tishna-lab baiThe hain mai-KHana-e-hasti mein 'sahar'
dil wo TuTa hua paimana ki bhar bhi na sake
Ghazal
Ishq ki sai-e-bad-anjam se Dar bhi na sake
Abu Mohammad Sahar