KHabar ke moD pe sang-e-nishan thi be-KHabari
Thikane aae mere hosh ya Thikane lage
Abdul Ahad Saaz
hosh-mandi se jahan baat na banti ho 'sahar'
kaam aise mein bahut be-KHabari aati hai
Abu Mohammad Sahar
asrar agar samjhe duniya ki har ek shai ke
KHud apni haqiqat se ye be-KHabari kyun hai
Asad Multani
na kuchh fana ki KHabar hai na hai baqa malum
bas ek be-KHabari hai so wo bhi kya malum
Asghar Gondvi
ho mohabbat ki KHabar kuchh to KHabar phir kyun ho
ye bhi ek be-KHabari hai ki KHabar rakhte hain
Ghulam Maula Qalaq
kuchh kamaya nahin bazar-e-KHabar mein rah kar
band dukkan karen be-KHabari pesha karen
Moin Najmi
KHabar-e-tahayyur-e-ishq sun na junun raha na pari rahi
na to tu raha na to main raha jo rahi so be-KHabari rahi
Siraj Aurangabadi