log be-mehr na hote honge
wahm sa dil ko hua tha shayad
Ada Jafri
na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
raha ye wahm ki hum hain so wo bhi kya malum
Fani Badayuni
hum jaur-paraston pe guman tark-e-wafa ka
ye wahm kahin tum ko gunahgar na kar de
Hasrat Mohani
wahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
jaise sab kuchh ho magar tu did ke qabil na ho
Muneer Niyazi
kab tak najat paenge wahm o yaqin se hum
uljhe hue hain aaj bhi duniya o din se hum
Saba Akbarabadi
kya jaane use wahm hai kya meri taraf se
jo KHwab mein bhi raat ko tanha nahin aata
I wonder to what misgivings she is prone
that even in my dreams she's not alone
Sheikh Ibrahim Zauq