اردو हिंदी
Mehboob Shayari | Shaahi Shayari

Mehboob

37 Shers

suna hai us ke badan ki tarash aisi hai
ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain

Ahmad Faraz




jis bhi fankar ka shahkar ho tum
us ne sadiyon tumhein socha hoga

Ahmad Nadeem Qasmi




tashbih tere chehre ko kya dun gul-e-tar se
hota hai shagufta magar itna nahin hota

Akbar Allahabadi




aa ki main dekh lun khoya hua chehra apna
mujh se chhup kar meri taswir banane wale

Akhtar Saeed Khan




jis taraf tu hai udhar hongi sabhi ki nazren
id ke chand ka didar bahana hi sahi

Amjad Islam Amjad




charag chand shafaq sham phul jhil saba
churain sab ne hi kuchh kuchh shabahaten teri

Anjum Irfani




phul mahkenge yunhi chand yunhi chamkega
tere hote hue manzar ko hasin rahna hai

Ashfaq Husain