hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho
justuju karte hain us ki jo hamein hasil na ho
dasht-e-najd-e-yas mein diwangi ho har taraf
har taraf mahmil ka shak ho par kahin mahmil na ho
wahm ye tujh ko ajab hai ai jamal-e-kam-numa
jaise sab kuchh ho magar tu did ke qabil na ho
wo khaDa hai ek bab-e-ilm ki dahliz par
main ye kahta hun use is KHauf mein daKHil na ho
chahta hun main 'munir' is umr ke anjam par
ek aisi zindagi jo is tarah mushkil na ho
Ghazal
Hain rawan us rah par jis ki koi manzil na ho
Muneer Niyazi