KHafa hain phir bhi aa kar chheD jate hain tasawwur mein
hamare haal par kuchh mehrbani ab bhi hoti hai
Akhtar Shirani
aat bhar un ka tasawwur dil ko taDpata raha
ek naqsha samne aata raha jata raha
Akhtar Shirani
han dikha de ai tasawwur phir wo subh o sham tu
dauD pichhe ki taraf ai gardish-e-ayyam tu
Allama Iqbal
chahiye us ka tasawwur hi se naqsha khinchna
dekh kar taswir ko taswir phir khinchi to kya
Bahadur Shah Zafar
yaad mein KHwab mein tasawwur mein
aa ki aane ke hain hazar tariq
Bayan Meeruti
lamha lamha mujhe viran kiye deta hai
bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka
Dil Ayubi
phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam
Faiz Ahmad Faiz