اردو हिंदी
Rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam | Shaahi Shayari
rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam

Ghazal

Rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam

Faiz Ahmad Faiz

;

rang pairahan ka KHushbu zulf lahrane ka nam
mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam

dosto us chashm o lab ki kuchh kaho jis ke baghair
gulsitan ki baat rangin hai na mai-KHane ka nam

phir nazar mein phul mahke dil mein phir shamen jalin
phir tasawwur ne liya us bazm mein jaane ka nam

dilbari Thahra zaban-e-KHalq khulwane ka nam
ab nahin lete pari-ru zulf bikhrane ka nam

ab kisi laila ko bhi iqrar-e-mahbubi nahin
in dinon badnam hai har ek diwane ka nam

mohtasib ki KHair uncha hai usi ke faiz se
rind ka saqi ka mai ka KHum ka paimane ka nam

hum se kahte hain chaman wale ghariban-e-chaman
tum koi achchha sa rakh lo apne virane ka nam

'faiz' un ko hai taqaza-e-wafa hum se jinhen
aashna ke nam se pyara hai begane ka nam