duniya-e-tasawwur hum aabaad nahin karte
yaad aate ho tum KHud hi hum yaad nahin karte
Fana Nizami Kanpuri
hum hain us ke KHayal ki taswir
jis ki taswir hai KHayal apna
Fani Badayuni
main ek thaka hua insan aur kya karta
tarah tarah ke tasawwur KHuda se bandh liye
Fazil Jamili
mere pahlu mein tum aao ye kahan mere nasib
ye bhi kya kam hai tasawwur mein to aa jate ho
Ghulam Bhik Nairang
na hoga koi mujh sa mahw-e-tasawwur
jise dekhta hun samajhta hun tu hai
Goya Faqir Mohammad
ek teri yaad se ek tere tasawwur se hamein
aa gae yaad kai nam hasinaon ke
Habib Jalib
tasawwur mein bhi ab wo be-naqab aate nahin mujh tak
qayamat aa chuki hai log kahte hain shabab aaya
Hafeez Jalandhari