اردو हिंदी
Mashwara Shayari | Shaahi Shayari

Mashwara

33 Shers

ichhaDne ka irada hai to mujh se mashwara kar lo
mohabbat mein koi bhi faisla zati nahin hota

Afzal Khan




khincho na kamanon ko na talwar nikalo
jab top muqabil ho to aKHbar nikalo

neither bow and arrow nor a sword do you require
pubish a newspaper when faced with cannon fire

Akbar Allahabadi




apne man mein Dub kar pa ja suragh-e-zindagi
tu agar mera nahin banta na ban apna to ban

Allama Iqbal




nikal ja aql se aage ki ye nur
charagh-e-rah hai manzil nahin hai

Allama Iqbal




tamanna dard-e-dil ki ho to kar KHidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar baadshahon ke KHazinon mein

serve mendicants if you desire empathy to gain
treasuries of emperors do not this wealth contain

Allama Iqbal




watan ki fikr kar nadan musibat aane wali hai
teri barbaadiyon ke mashware hain aasmanon mein

fear for your country, trouble will soon arise
words of your destruction have been spoken by the skies

Allama Iqbal




faraghat se duniya mein har dam na baiTho
agar chahte ho faraghat ziyaada

Altaf Hussain Hali