phir charagh-e-lala se raushan hue koh o daman
mujh ko phir naghmon pe uksane laga murgh-e-chaman
phul hain sahra mein ya pariyan qatar andar qatar
ude ude nile nile pile pile pairahan
barg-e-gul par rakh gai shabnam ka moti baad-e-subh
aur chamkati hai us moti ko suraj ki kiran
husn-e-be-parwa ko apni be-naqabi ke liye
hon agar shahron se ban pyare to shahr achchhe ki ban
apne man mein Dub kar pa ja suragh-e-zindagi
tu agar mera nahin banta na ban apna to ban
man ki duniya man ki duniya soz o masti jazb o shauq
tan ki duniya tan ki duniya sud o sauda makr o fan
man ki daulat hath aati hai to phir jati nahin
tan ki daulat chhanw hai aata hai dhan jata hai dhan
man ki duniya mein na paya main ne afrangi ka raj
man ki duniya mein na dekhe main ne shaiKH o barhaman
pani pani kar gai mujko qalandar ki ye baat
tu jhuka jab ghair ke aage na man tera na tan
Ghazal
Phir charagh-e-lala se raushan hue koh o daman
Allama Iqbal