اردو हिंदी
Lucknow Shayari | Shaahi Shayari

Lucknow

5 Shers

kiya tabah to dilli ne bhi bahut 'bismil'
magar KHuda ki qasam lucknow ne luT liya

Bismil Saeedi




zaban-e-haal se ye lucknow ki KHak kahti hai
miTaya gardish-e-aflak ne jah-o-hasham mera

Chakbast Brij Narayan




dilli chhuTi thi pahle ab lucknow bhi chhoDen
do shahar the ye apne donon tabah nikle

Mirza Hadi Ruswa




turab-e-pa-e-hasinan-e-lakhnau hai ye
ye KHaksar hai 'aKHtar' ko naqsh-e-pa kahiye

Wajid Ali Shah Akhtar




yahi tashwish shab-o-roz hai bangale mein
lucknow phir kabhi dikhlae muqaddar mera

Wajid Ali Shah Akhtar