na koi dost dushman ho sharik-dard-o-gham mera
salamat meri gardan par rahe bar-e-alam mera
likha ye dawar-e-mahshar ne meri fard-e-isyan par
ye wo banda hai jis par naz karta hai karam mera
kaha ghuncha ne hans kar wah kya nairang-e-alam hai
wajud gul jise samjhe hain sab hai wo adam mera
kashakash hai ummid-o-yas ki ye zindagi kya hai
ilahi aisi hasti se to achchha tha adam mera
dil-e-ahbab mein ghar hai shagufta rahti hai KHatir
yahi jannat hai meri aur yahi bagh-e-iram mera
mujhe ahbab ki pursish ki ghairat mar Dalegi
qayamat hai agar ifsha hua raaz-e-alam mera
khaDi thin rasta roke hue lakhon tamannaen
shahid-e-yas hun nikla hai kis mushkil se dam mera
KHuda ne ilm baKHsha hai adab ahbab karte hain
yahi daulat hai meri aur yahi jah-o-hasham mera
zaban-e-haal se ye lucknow ki KHak kahti hai
miTaya gardish-e-aflak ne jah-o-hasham mera
kiya hai fash parda kufr-o-din ka is qadar main ne
ki dushman hai barhaman aur adu shaiKH-e-haram mera
Ghazal
Na koi dost dushman ho sharik-dard-o-gham mera
Chakbast Brij Narayan