dil-ruba tujh sa jo dil lene mein ayyari kare
phir koi dilli mein kya dil ki KHabardari kare
Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
hamin hain maujib-e-bab-e-fasahat hazrat-e-'shair'
zamana sikhta hai hum se hum wo dilli wale hain
Agha Shayar Qazalbash
tazkira dehli-e-marhum ka ai dost na chheD
na suna jaega hum se ye fasana hargiz
Altaf Hussain Hali
ai wae inqalab zamane ke jaur se
dilli 'zafar' ke hath se pal mein nikal gai
Bahadur Shah Zafar
dil ki basti purani dilli hai
jo bhi guzra hai us ne luTa hai
Bashir Badr
arz-e-dakan mein jaan to dilli mein dil bani
aur shahr-e-lucknow mein hina ban gai ghazal
Ganesh Bihari Tarz
ai saba main bhi tha aashufta-saron mein yakta
puchhna dilli ki galiyon se mera nam kabhi
Hasan Nayeem