suna hai kuch to un ka par is ko kya kahiye
zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda kahiye
misi laga ke siyahi se kyun Daraate ho
andheri raaton ka hum se to majra kahiye
hazar raaten bhi guzrin yahi kahani ho
tamam kijiye is ko na kuchh siwa kahiye
hua hai ishq mein KHasan-e-haq ka rang safed
ye qatl-e-am nahin shoKHi-e-hina kahiye
turab-e-pa-e-hasinan-e-lakhnau hai ye
ye KHaksar hai 'aKHtar' ko naqsh-e-pa kahiye
Ghazal
Suna hai kuch to un ka par isko kya kahiye
Wajid Ali Shah Akhtar