wo jo raat mujh ko baDe adab se salam kar ke chala gaya
use kya KHabar mere dil mein bhi kabhi aarzu-e-gunah thi
Ahmad Mushtaq
mere KHuda ne kiya tha mujhe asir-e-bahisht
mere gunah ne rihai mujhe dilai hai
Ahmad Nadeem Qasmi
KHud-parasti KHuda na ban jae
ehtiyatan gunah karta hun
Akbar Hyderabadi
guzar raha hun kisi jannat-e-jamal se main
gunah karta hua nekiyan kamata hua
Akhtar Razaa Saleemi
tazir-e-jurm-e-ishq hai be-sarfa mohtasib
baDhta hai aur zauq-e-gunah yan saza ke baad
Altaf Hussain Hali
zahid umid-e-rahmat-e-haq aur hajw-e-mai
pahle sharab pi ke gunah-gar bhi to ho
Ameer Minai
ishq mein wo bhi ek waqt hai jab
be-gunahi gunah hai pyare
Anand Narayan Mulla