KHamosh ho gain jo umangen shabab ki
phir jurat-e-gunah na ki hum bhi chup rahe
Hafeez Jalandhari
kahegi hashr ke din us ki rahmat-e-be-had
ki be-gunah se achchha gunah-gar raha
Hijr Nazim Ali Khan
apne kisi amal pe nadamat nahin mujhe
tha nek-dil bahut jo gunahgar mujh mein tha
Himayat Ali Shayar
suna hai KHwab mukammal kabhi nahin hote
suna hai ishq KHata hai so kar ke dekhte hain
Humaira Rahat
yun zindagi guzar raha hun tere baghair
jaise koi gunah kiye ja raha hun main
Jigar Moradabadi
ye kya kahun ki mujh ko kuchh gunah bhi aziz hain
ye kyun kahun ki zindagi sawab ke liye nahin
Mahboob Khizan
dekha to sab ke sar pe gunahon ka bojh tha
KHush the tamam nekiyan dariya mein Dal ka
Mohammad Alvi