teri baKHshish ke bharose pe KHataen ki hain
teri rahmat ke sahaare ne gunahgar kiya
Mubarak Azimabadi
mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat
karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe
whether my sins are greater of your mercy pray?
My lord take account and tell me this today
Muztar Khairabadi
gunahon se hamein raghbat na thi magar ya rab
teri nigah-e-karam ko bhi munh dikhana tha
O Lord, I was not drawn to sinning all the time
how else could I confront your mercy so sublime
Naresh Kumar Shad
mahsus bhi ho jae to hota nahin bayan
nazuk sa hai jo farq gunah o sawab mein
Naresh Kumar Shad
gunahgar to rahmat ko munh dikha na saka
jo be-gunah tha wo bhi nazar mila na saka
Nushur Wahidi
mujhe gunah mein apna suragh milta hai
wagarna parsa-o-din-dar main bhi tha
Saqi Faruqi
uh mein rengti rahti hai gunah ki KHwahish
is amarbel ko ek din koi diwar mile
Saqi Faruqi