ek kar-e-muhaal kar raha hun
zinda hun kamal kar raha hun
Sarshar Siddiqui
main ne ibaadaton ko mohabbat bana diya
aankhen buton ke sath rahin dil KHuda ke sath
Sarshar Siddiqui
meri talab mein takalluf bhi inkisar bhi tha
wo nukta-sanj tha sab mere hasb-e-haal diya
Sarshar Siddiqui
na-mustajab itni duaen huin ki phir
mera yaqin bhi uTh gaya rasm-e-dua ke sath
Sarshar Siddiqui
nind TuTi hai to ehsas-e-ziyan bhi jaga
dhup diwar se aangan mein utar aai hai
Sarshar Siddiqui
'sarshaar' main ne ishq ke mani badal diye
is aashiqi mein pahle na tha wasl ka chalan
Sarshar Siddiqui
ujDe hain kai shahar, to ye shahar basa hai
ye shahar bhi chhoDa to kidhar jaoge logo
Sarshar Siddiqui