اردو हिंदी
Mere badan mein thi teri KHushbu-e-pairahan | Shaahi Shayari
mere badan mein thi teri KHushbu-e-pairahan

Ghazal

Mere badan mein thi teri KHushbu-e-pairahan

Sarshar Siddiqui

;

mere badan mein thi teri KHushbu-e-pairahan
shab bhar mere wajud mein mahka tera badan

hun apne hi hujum-e-tamanna mein ajnabi
main apne hi dayar-e-nafas mein jila-watan

sab pattharon pe nam likhe the rafiqon ke
har zaKHm-e-sar hai sang-e-malamat pe KHanda-zan

ab dasht-e-be-aman hi mein shayad mile panah
ghar ki khuli faza mein to baDhne lagi ghuTan

har aadmi hai paikar-e-fariyaad in dinon
har shaKHs ke badan pe hai kaghaz ka pairahan

KHush-fahm hain ki sirf riwayat parast hain
KHush-fikr the ki le uDe tariKH ka kafan

is daur mein yahan bhi filistin ki tarah
kuchh log be-zamin hue kuchh log be-watan

misl-e-saba koi idhar aaya udhar gaya
ghar mein basi hui hai magar bu-e-pairahan

'sarshaar' main ne ishq ke mani badal diye
is aashiqi mein pahle na tha wasl ka chalan