اردو हिंदी
Sahra hi ghanimat hai, jo ghar jaoge logo | Shaahi Shayari
sahra hi ghanimat hai, jo ghar jaoge logo

Ghazal

Sahra hi ghanimat hai, jo ghar jaoge logo

Sarshar Siddiqui

;

sahra hi ghanimat hai, jo ghar jaoge logo
wo aalam-e-wahshat hai ki mar jaoge logo

yaadon ke taaqub mein agar jaoge logo
meri hi tarah tum bhi bikhar jaoge logo

wo mauj-e-saba bhi ho to hoshyar hi rahna
sukhe hue patte ho bikhar jaoge logo

is KHak pe mausam to guzarte hi rahe hain
mausam hi to ho tum bhi guzar jaoge logo

ujDe hain kai shahar, to ye shahar basa hai
ye shahar bhi chhoDa to kidhar jaoge logo

haalat ne chehron pe bahut zulm kiye hain
aaina agar dekha to Dar jaoge logo

is par na qadam rakhna ki ye rah-e-wafa hai
sarshaar nahin ho, ki guzar jaoge logo