ek harf-e-shauq lab pe hai aur iltija ke sath
main ek nae safar pe hun apni ana ke sath
main ne ibaadaton ko mohabbat bana diya
aankhen buton ke sath rahin dil KHuda ke sath
kis qaht-e-etibar se guzre hain ahl-e-dil
rang-e-wafa bhi uD gaya rang-e-hina ke sath
mera wajud harf-e-taqaza bana hua
mohr-e-qubul us ke labon par haya ke sath
gul-chehra logon se tha mera bhi muamla
aawara main bhi ho gaya mauj-e-saba ke sath
na-mustajab itni duaen huin ki phir
mera yaqin bhi uTh gaya rasm-e-dua ke sath
ghar yaad aa raha tha chale aae hain magar
hum apne sar pe lae hain sahra uTha ke sath
aabaadiyon ki KHair manane ka waqt hai
jangal ki aag phail rahi hai hawa ke sath
Ghazal
Ek harf-e-shauq lab pe hai aur iltija ke sath
Sarshar Siddiqui