chand lamhe ko tu KHwabon mein bhi aa kar jhank le
zindagi tujh se mile kitne zamane ho gae
Sarfraz Danish
gham ka suraj to Dubta hi nahin
dhup hi dhup hai kidhar jaen
Sarfraz Danish
hum apne jalte hue ghar ko kaise ro lete
hamare chaaron taraf ek hi nazara tha
Sarfraz Danish
hamara sher bhi lauh-e-tilism hai shayad
har ek ruKH se hamein be-naqab karta hai
Sarfraz Danish
aat ki sarhad yaqinan aa gai
jism se saya juda hone laga
Sarfraz Danish
shahr bhar ke aainon par KHak Dali jaegi
aaj phir sachchai ki surat chhupa li jaegi
Sarfraz Danish
tilism toD diya ek sharir bachche ne
mera wajud udasi ka istiara tha
Sarfraz Danish