aarzuon ki ruten badle zamane ho gae
zindagi ke sath sab rishte purane ho gae
aabla-pai ne aisi shoKHiyan kin ret se
waqt ke tapte hue sahra suhane ho gae
chand lamhe ko tu KHwabon mein bhi aa kar jhank le
zindagi tujh se mile kitne zamane ho gae
raat darwaze pe baiThi thi so baiThi hi rahi
ghar hamare raushni ke kar-KHane ho gae
shoKHiyan 'danish' matanat ki taraf hain gamzan
aisa lagta hai ki ab hum bhi purane ho gae
Ghazal
Aarzuon ki ruten badle zamane ho gae
Sarfraz Danish