lamha lamha tajraba hone laga
main bhi andar se naya hone laga
shiddat-e-gham ne haden sab toD din
zabt ka manzar hawa hone laga
phir nae arman shaKHon ko mile
patta patta phir hara hone laga
ghaur se Tuk aankh ne dekha hi tha
mujh se har manzar KHafa hone laga
raat ki sarhad yaqinan aa gai
jism se saya juda hone laga
main abhi to aaine se dur hun
mera baatin kyun KHafa hone laga
'danish' ab tiron ki zad mein aa gaya
zindagi se samna hone laga
Ghazal
Lamha lamha tajraba hone laga
Sarfraz Danish