is se pahle ki sar utar jaen
hum udasi mein rang bhar jaen
zaKHm murjha rahe hain rishton ke
ab uThen doston ke ghar jaen
gham ka suraj to Dubta hi nahin
dhup hi dhup hai kidhar jaen
apna ehsas ban gaya dushman
jab bhi chaha ki zaKHm bhar jaen
war chaaron taraf se hain hum par
shayad is marke mein sar jaen
samna dushmanon se ho jab bhi
aap hanste hue guzar jaen
koi surat nikaliye 'danish'
bastiyan KHushbuon se bhar jaen

Ghazal
Is se pahle ki sar utar jaen
Sarfraz Danish