aankhon se pa-e-yar lagane ki hai hawas
halqa hamare chashm ka us ki rikab ho
Sakhi Lakhnvi
aji phenko raqib ka nama
na ibarat bhali na achchha KHat
Sakhi Lakhnvi
aat karne mein honT laDte hain
aise takrar ka KHuda-hafiz
Sakhi Lakhnvi
adr aur mahr do hain nam un ke
ek jamali hai ek jalali hai
Sakhi Lakhnvi
ahut KHwab-e-ghaflat mein din chaDh gaya
uTho sone walo phir aaegi raat
Sakhi Lakhnvi
arg-e-gul aa main tere bose lun
tujh mein hai Dhang yar ke lab ka
Sakhi Lakhnvi
osa har waqt ruKH ka leta hai
kis qadar gesu-e-dota hai shoKH
Sakhi Lakhnvi
charKH par badr jis ko kahte hain
yar ka saghar-e-sifali hai
Sakhi Lakhnvi
dafn hum ho chuke to kahte hain
is gunahgar ka KHuda-hafiz
Sakhi Lakhnvi