dard ko gurda taDapne ko jigar
hijr mein sab hain magar dil to nahin
Sakhi Lakhnvi
dekhen kahta hai KHuda hashr ke din
tum ko kya ghair ko kya hum ko kya
Sakhi Lakhnvi
dekho qali khulegi saf us ki
aaina un ke munh chaDha hai aaj
Sakhi Lakhnvi
dil kaleje dimagh sina o chashm
in ke rahne ke hain makan bahut
Sakhi Lakhnvi
ek do tin chaar panch chhe sat
yunhi gin lenge kam ke kya mani
Sakhi Lakhnvi
aankhon se pa-e-yar lagane ki hai hawas
halqa hamare chashm ka us ki rikab ho
Sakhi Lakhnvi
hum un se aaj ka shikwa karenge
ukhaDenge wo barson ki gaDi baat
Sakhi Lakhnvi
hama-tan ho gae hain aaina
KHud-numai si KHud-numai hai
Sakhi Lakhnvi
hichkiyan aati hain par lete nahin wo mera nam
dekhna un ki faramoshi ko meri yaad ko
Sakhi Lakhnvi