sine se hamara dil na le jao
chhuDwate ho kyun watan kisi ka
Sakhi Lakhnvi
taswir-e-chashm-e-yar ka KHwahan hai baghban
ijad hogi nargis-e-bimar ki jagah
Sakhi Lakhnvi
tha hina se jo shoKH mera KHun
bole ye lal lal hai kuchh au
Sakhi Lakhnvi
tha mera naKHun-e-tarashida
auj-e-gardun pe jo hilal hua
Sakhi Lakhnvi
tis din yar ab na aaega
is mahine ka nam KHali hai
Sakhi Lakhnvi
tum na aasan ko aasan samho
warna mushkil meri mushkil to nahin
Sakhi Lakhnvi
wo aashiq hain ki marne par hamare
karenge yaad hum ko umr bhar aap
Sakhi Lakhnvi
yunhi wada karo yaqin ho jae
kyun qasam lun qasam ke kya mani
Sakhi Lakhnvi
zindagi tak meri hans lijiye aap
phir mujhe roiyega mere baad
Sakhi Lakhnvi