dulhan bhi agar ban ke aaegi raat
hamein be-tumhaare na bhaegi raat
hamein hijr mein KHun rulaegi raat
hamare lahu mein nahaegi raat
bahut KHwab-e-ghaflat mein din chaDh gaya
uTho sone walo phir aaegi raat
hum us se ziyaada siyah-baKHt hain
hamein tirgi kya dikhaegi raat
na Tale Talega ye roz-e-firaq
qasam aaj aane ke khaegi raat
'saKHi' aD ke baiThi hai ghar par mere
bas ab jaan hi le ke jaegi raat
Ghazal
Dulhan bhi agar ban ke aaegi raat
Sakhi Lakhnvi